Header Ad

Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai Lyrics - Abdul Rauf Rufi

Duniya Ke Aaye Musafir Manzil Teri Qqabar hai Lyrics
One of the heart touching and learning lesson naat sung by Abdul Rauf Rufi.

English Naat Lyrics

Urdu Naat Lyrics

Hindi Naat Lyrics

Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai Lyrics in English

Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai
Tai kar raha hai jo tu do din ka yeh safar hai

Jab se bani hai duniya aaye hazaro laakho
Baaki raha na koi mitti me sab samaye
Iss baat ko na bhulo sabka yahi hashar hai
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai

Ye aali shan Banglay wahan kaam ka nahin hain
Makhmal main sonay walay maati main so rahay hain
Do Gaz zamin ka tukra mitti ka tera ghar hai
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai

Mahalo me sone wale mitti me so rahe hai
Shaho gadha yaha sab ek saath so rahe hai
Dono huye barabar yeh maut ka asar hai
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai

Aankho se tune apni janaze dekhe
Haatho se tune apne dafnaye kitne murde
Anjam se tu apne kyu itna bekhabar hai
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai

Check out the video for the above naat

Post a Comment